Sunday, December 23, 2007
Fanna Dialogue-Shayari
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye�.
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
Phool hun Gulaab ka�?
Chameli ka mat samjhna�?
Aashiq hun aapka�?
Apni Saheli ka mat samjhna�?
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte�.
RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..
Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye,
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye,
Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham,
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
11 comments:
Iss duniya ka dastoor meh samjha nahi sakta jo khud bik chuka hai woh kharidar hoh nahi sakta....
Cooool gourav
ham to tere asishq hai sadiyo purane
cahe tu mane ya na mane
waqt guzarega,hum bikkhar jayenge,,kaun jane ki hum kidhar jayenge..hum aapki parchayi hain,yaad rakhnajahan tanhai mili,vaha hum nazar aayenge..
hye ,kaisa laga
tumhare intezar mein katgai puri zindagi magar tumhare pyar mein jigein hum adhuri zindagi
tum hamerey nahi to kya gum hai, hum tumarey to hai ye kya kaam hai...
kajol cantik sekali n amir khan ganteng banget
Abhi Wo Dard Baqi Hai
Agarchay Waqt Marham Hai
Magar Kuch Waqt Lagta Hai
Kisi Ko Bhool Janay Main
Dobara Dil Basanay Main
Abhi Kuch Waqt Lagna Hai
Abhi Wo Waqt Baqi Hai
Main Kaisay Nai Ulfat Main
Apni Zaat Ko Ghum Kar Doon
Kay Mairay Jism-O-Wujdaan Main
Abhi Wo Fard Baqi Hai
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Par
Nigah-E-Sard Baqi Hai
Abhi To Ishq Kay Rastoon Ki
Mujh Par Gard Baqi Hai
Abhi To Dard Baqi Hai
THIS FILM IS GREAT
kabhi to sham ayee
aur hum ghar ja chuke hote
kisi ke ankon mai rahke
hum savar gaye hote
Post a Comment